Ab To..
Ab to na aar hai na paar
Na hai kisikaa intezaar
Na kisipar aitabaar
Aur na hi kisise pyaar
Ab to zindagi aise jiyenge
Jaise baadal aasmaanse utarenge
Aur halke halke hawaa me ghulenge
Lekin koi nishaani na chod paaenge
Ab to na dukhegaa ye dil kabhi
Khushi se bhi naataa choota abhi
Hamaari aahat na sunaai degi firbhi
Apni zindagiyan to jiyengehi sabhi
Na kisise gile hein ab to
Dekh liye dosti ke jhoothe nazaare
Apne kaun? sabhi hai paraaye
Humnebhi zakhm sile hein ab to
Meri fikr naa karo koi
Ab to mein zindagise aazaad hoon
Aagoshmein kai sacchaaiyaan hein
Ab to tanhaaimehi aabaad hoon
...Pradnya Joshi
28 Feb 2007
Na hai kisikaa intezaar
Na kisipar aitabaar
Aur na hi kisise pyaar
Ab to zindagi aise jiyenge
Jaise baadal aasmaanse utarenge
Aur halke halke hawaa me ghulenge
Lekin koi nishaani na chod paaenge
Ab to na dukhegaa ye dil kabhi
Khushi se bhi naataa choota abhi
Hamaari aahat na sunaai degi firbhi
Apni zindagiyan to jiyengehi sabhi
Na kisise gile hein ab to
Dekh liye dosti ke jhoothe nazaare
Apne kaun? sabhi hai paraaye
Humnebhi zakhm sile hein ab to
Meri fikr naa karo koi
Ab to mein zindagise aazaad hoon
Aagoshmein kai sacchaaiyaan hein
Ab to tanhaaimehi aabaad hoon
...Pradnya Joshi
28 Feb 2007
4 Comments:
Liked the the last 2 lines a lot... :)
fab!!!!!!!!!
अब तो न दुखेगा ये दिल कभी,
खुशी से भी नाता छूटा अभी।
हमारी आहट न सुनायी देगी फ़िर भी
अपनी जिन्दगियाँ तो जियेन्गे सभी॥
मार्मिक
Birthday Gifts Online Delivery
Karwachauth Sargi Pooja Thali
Karva chauth Sargi Pooja Thali
Post a Comment
<< Home