Darr
Na koi kaaydaa todte hein
Na kabhi jurm karte hein
Firbhi kyon ey Khudaa, hum
Teri duniyaa se itna darte hein?
Darr hai ke kisike aage
Ye daaman bhi kabhi failaanaa padegaa
Jahaan dam ghuttaa hai
Usi jagah firse jaanaa padegaa
Dar hai ke aasoon bahaate bahaate
Baadal mera sookh na jaae
Pyaas to bujhegi nahi par
Ye sookha aur bhookh na laae
Chand saazonka saath hai bachaa
Woh bhi khafaa ho na jaae
Bhikhre sapnonki bhanwarmein
Meri tanhaa dagar kho na jaae
Chattaan samajhkar thaami hai meine
Kahi woh bhi pighalti baraf na niklein
Ujaale ki talaashse thak haarkar
Mere raaste andhereki taraf na niklein
Na hai khauf maut kaa
Na bachaa hai zindagi ka junoon
Duniyaka samundar nigal na jaae
Mera baki bacha aakhri boond sukoon...
.... Pradnya Joshi
18 Feb 2007
Na kabhi jurm karte hein
Firbhi kyon ey Khudaa, hum
Teri duniyaa se itna darte hein?
Darr hai ke kisike aage
Ye daaman bhi kabhi failaanaa padegaa
Jahaan dam ghuttaa hai
Usi jagah firse jaanaa padegaa
Dar hai ke aasoon bahaate bahaate
Baadal mera sookh na jaae
Pyaas to bujhegi nahi par
Ye sookha aur bhookh na laae
Chand saazonka saath hai bachaa
Woh bhi khafaa ho na jaae
Bhikhre sapnonki bhanwarmein
Meri tanhaa dagar kho na jaae
Chattaan samajhkar thaami hai meine
Kahi woh bhi pighalti baraf na niklein
Ujaale ki talaashse thak haarkar
Mere raaste andhereki taraf na niklein
Na hai khauf maut kaa
Na bachaa hai zindagi ka junoon
Duniyaka samundar nigal na jaae
Mera baki bacha aakhri boond sukoon...
.... Pradnya Joshi
18 Feb 2007
3 Comments:
I was just reading and thinking that I will give my comments off-line...but this poem is just too good :)
Great work..pardes jaa ke bhi aap badli nahin.
Do try to post these poems in Hindi fonts if possible.
"Chand saazonka saath hai bachaa
Woh bhi khafaa ho na jaae
Bhikhre sapnonki bhanwarmein
Meri tanhaa dagar kho na jaae"
Awesome lines! Saazonka saath choot ta nazar aa raha hai...
चन्द साजों का साथ है बचा,
वो भी खफ़ा हो न जायें।
बिखरे सपनों के भँवर में,
मेरी तन्हा डगर खो न जाये॥
भावुक अभिव्यक्ति
Post a Comment
<< Home