Kuch Aur Shaayri
Aakhonse behnese roak liyaa
Toh qualamse behte hein
Sehmese gumsum mere aansoo
Dilkaa aalam ye kehte hein
Saare jaate hein jahannum ki oar
Fir hum kaunsaa raastaa lein?
Yahaan to Khudaa bhi paraayaa hai
Ab aur kiskaa waastaa dein?
Aakhir woh din aa hi gae
Ke jeeneke iraadonki khoj hai
Aur to kuch nahi haathmein
Bas chand yaadonka bojh hai
Shaayad har shaayarko Khudaa
Gham kaa hi tohfaa detaa hai
Kyonki dard ke binaa Gaalib
Gaalib nahi hotaa hai...
Toh qualamse behte hein
Sehmese gumsum mere aansoo
Dilkaa aalam ye kehte hein
Saare jaate hein jahannum ki oar
Fir hum kaunsaa raastaa lein?
Yahaan to Khudaa bhi paraayaa hai
Ab aur kiskaa waastaa dein?
Aakhir woh din aa hi gae
Ke jeeneke iraadonki khoj hai
Aur to kuch nahi haathmein
Bas chand yaadonka bojh hai
Shaayad har shaayarko Khudaa
Gham kaa hi tohfaa detaa hai
Kyonki dard ke binaa Gaalib
Gaalib nahi hotaa hai...
5 Comments:
Loved the first and last para! :) But there are other subjects to write about also! :D
cool nice one
आँखों से बहने से रोक लिया तो कलम से बहते हैं।
सहमे से गुम सुम मेरे आँसू दिल का आलम ये कहते हैं॥
बहुत खूबसूरत।
Shaayad har shaayarko Khudaa
Gham kaa hi tohfaa detaa hai
Kyonki dard ke binaa Gaalib
Gaalib nahi hotaa hai...
Hats off to you,
Just amazing !!!
too good... all four shayaris.
Post a Comment
<< Home