Mehfil

Tuesday, November 27, 2007

Ab kuch aisaa aalam hai...

Ke khwaab zyaadda aur zindagi kum hai...

Murjhaae hue din Sooni Sehmi raatein
Rozmarraaki duniyaadaari paapi pet ki baatein
Naa anhoni kaa dar aur naa honi kaa jashan hai
Ab kuch aisaa aalam hai
Ke khwaab zyaadda aur zindagi kum hai...

Dil air dimaag ki jung mein Dil ki hi haar hai
Tanhaai kadwi sacchaai aur samjhotaa hi pyaar hai
Khushkismati ki daud mein hum to aaste kadam hai
Ab kuch aisaa aalam hai
Ke khwaab zyaadda aur zindagi kum hai...

Kuch naajuk rishtey kuch gehre sadmein
Choor choor armaan kahi toote waadein
Is dil ke kai raaz isi dil mein dafan hai
Ab kuch aisaa aalam hai
Ke khwaab zyaadda aur zindagi kum hai...

Lagta hai apni kahani kabhi kisiko sunaaoon
Dard ko alfaazmein baandhe paani mein bahaaoon
Par likhneko naa bachaa kaagaz na kalam hai
Ab kuch aisaa aalam hai
Ke khwaab zyaadda aur zindagi kum hai...

-- Pradnya Joshi
November 2007