Tuesday, November 27, 2007

Ab kuch aisaa aalam hai...

Ke khwaab zyaadda aur zindagi kum hai...

Murjhaae hue din Sooni Sehmi raatein
Rozmarraaki duniyaadaari paapi pet ki baatein
Naa anhoni kaa dar aur naa honi kaa jashan hai
Ab kuch aisaa aalam hai
Ke khwaab zyaadda aur zindagi kum hai...

Dil air dimaag ki jung mein Dil ki hi haar hai
Tanhaai kadwi sacchaai aur samjhotaa hi pyaar hai
Khushkismati ki daud mein hum to aaste kadam hai
Ab kuch aisaa aalam hai
Ke khwaab zyaadda aur zindagi kum hai...

Kuch naajuk rishtey kuch gehre sadmein
Choor choor armaan kahi toote waadein
Is dil ke kai raaz isi dil mein dafan hai
Ab kuch aisaa aalam hai
Ke khwaab zyaadda aur zindagi kum hai...

Lagta hai apni kahani kabhi kisiko sunaaoon
Dard ko alfaazmein baandhe paani mein bahaaoon
Par likhneko naa bachaa kaagaz na kalam hai
Ab kuch aisaa aalam hai
Ke khwaab zyaadda aur zindagi kum hai...

-- Pradnya Joshi
November 2007

3 Comments:

Blogger Mayank said...

Loved the lines

"Dard ko alfaazmein baandhe paani mein bahaaoon..."

I think the whole of last para is neat but I wish it weren't the way it ended... :)

Also the use of the line:

"Ke khwaab zyaadda aur zindagi kum hai..."

Some glitches here and there. All in all a "sad" piece of work (no pun intended). Hoping to see some happy stuff from you! :)

12:23 AM  
Blogger Girish, the Gambler said...

Hey Pradnya...

One more sad but realistic one from you.

Achchi likhi hai bahut ...
Lagta hai ab tumhari tarif India aake hi karni padegi :-)

-Girish.

5:48 AM  
Blogger Unknown said...

Lagta ek sa hi sardi aur saawan hai
Na katti hai raat na katta din hai Hai gham itna jyaada ki aakhein sada nam hai
Ab kuch aisaa aalam hai
Ke khwaab zyaadda aur zindagi kum hai...

12:00 PM  

Post a Comment

<< Home